bārhā bas mujhe yuuñ lagtā hai
hai koī jo mujhe hī taktā hai
ḳhvāb rātoñ meñ ḳhvāb meñ aa kar
ḳhvāb kī hī tarah bikhartā hai
raushnā.ī nigal gayā thā jo
saaya vo āñkhoñ meñ khaTaktā hai
din ke sannāTe meñ qarīb aa kar
ramz peshānī par Tahaltā hai
ai zamīñ pyāsī hī rahegī tū
āsmāñ se dhuāñ barastā hai
koī bū ḳhaak kar ga.ī shāyad
dekh phūloñ ko jī machaltā hai
ġham-talab kab talak rahe koī
ab lahū āñkhoñ se Tapaktā hai
barha bas mujhe yun lagta hai
hai koi jo mujhe hi takta hai
KHwab raaton mein KHwab mein aa kar
KHwab ki hi tarah bikharta hai
raushnai nigal gaya tha jo
saya wo aankhon mein khaTakta hai
din ke sannaTe mein qarib aa kar
ramz peshani par Tahalta hai
ai zamin pyasi hi rahegi tu
aasman se dhuan barasta hai
koi bu KHak kar gai shayad
dekh phulon ko ji machalta hai
gham-talab kab talak rahe koi
ab lahu aankhon se Tapakta hai
Leave a comment