Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsas Muradabadi

  • Ghazal


kahte hain ki yusuf ka KHaridar to lao


kahte haiñ ki yūsuf kā ḳharīdār to laao
us jins-e-girāñ ko sar-e-bāzār to laao

tamsīl-e-jamāl-e-nigah-e-yār to laao
mumkin ho javāb-e-lab-o-ruḳhsār to laao

lo naam na yaaro ki baġhāvat hai baḌī shai
tum pahle zarā jur.at-e-guftār to laao

ab husn meñ paidā haiñ pazīrā.ī ke āsār
tum ishq meñ kuchh jur.at-e-iz.hār to laao

az-rāh-e-aqīdat use āñkhoñ se lagā.eñ
tum koī hadīs-e-lab-o-ruḳhsār to laao

us ke liye zanjīr-e-bahārāñ bhī hai kaafī
gulshan meñ koī taaza giraftār to laao

ārām pas-e-manzil-e-dushvār hai 'ehsās'
saaya bhī milegā koī dīvār to laao

kahte hain ki yusuf ka KHaridar to lao
us jins-e-giran ko sar-e-bazar to lao

tamsil-e-jamal-e-nigah-e-yar to lao
mumkin ho jawab-e-lab-o-ruKHsar to lao

lo nam na yaro ki baghawat hai baDi shai
tum pahle zara jurat-e-guftar to lao

ab husn mein paida hain pazirai ke aasar
tum ishq mein kuchh jurat-e-izhaar to lao

az-rah-e-aqidat use aankhon se lagaen
tum koi hadis-e-lab-o-ruKHsar to lao

us ke liye zanjir-e-bahaaran bhi hai kafi
gulshan mein koi taza giraftar to lao

aaram pas-e-manzil-e-dushwar hai 'ehsas'
saya bhi milega koi diwar to lao


Leave a comment

+