bisāt-e-shauq ke manzar badalte rahte haiñ
havā ke rañg barābar badalte rahte haiñ
butān-e-rañg bhī kuchh kam nahīñ hayūloñ se
qadam qadam pe ye paikar badalte rahte haiñ
chhupā.e chhuptī nahīñ un se kohnagī dil kī
na.e libās vo har-dam badalte rahte haiñ
rahī nahīñ kabhī yak-rañg āsmāñ kī jabīñ
hurūf-e-lauh-e-muqaddar badalte rahte haiñ
qayām kartā nahīñ dil meñ chaar din koī
makīn ḳhāna-e-be-dar badalte rahte haiñ
bahut nayā thā jo kal ab vahī purānā hai
mazār-e-dahr ke patthar badalte rahte haiñ
bisat-e-shauq ke manzar badalte rahte hain
hawa ke rang barabar badalte rahte hain
butan-e-rang bhi kuchh kam nahin hayulon se
qadam qadam pe ye paikar badalte rahte hain
chhupae chhupti nahin un se kohnagi dil ki
nae libas wo har-dam badalte rahte hain
rahi nahin kabhi yak-rang aasman ki jabin
huruf-e-lauh-e-muqaddar badalte rahte hain
qayam karta nahin dil mein chaar din koi
makin KHana-e-be-dar badalte rahte hain
bahut naya tha jo kal ab wahi purana hai
mazar-e-dahr ke patthar badalte rahte hain
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment