Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jagat Mohan Lal Ravan

  • Ghazal


rawan kis ko KHabar unwan-e-aghaz-e-jahaan kya tha


'ravāñ' kis ko ḳhabar unvān-e-āġhāz-e-jahā.an kyā thā
zamīñ kā kyā thā naqsha aur rañg-e-āsmāñ kyā thā

yahī hastī isī hastī ke kuchh TuuTe hue rishte
vagarna aisā parda mere un ke darmiyāñ kyā thā

tirā baḳhshā huā dil aur dil kī ye havas-kārī
mirā is meñ qusūr ai dast-gīr-e-āsiyāñ kyā thā

agar kuchh roz zinda rah ke mar jaanā muqaddar hai
to is duniyā meñ āḳhir bā.is-e-taḳhlīq-e-jāñ kyā thā

ham itne fāsle par aa ga.e haiñ ahd-e-māzī se
ḳhabar ye bhī nahīñ ajdād kā nām-o-nishāñ kyā thā

kisī barq-e-tajallī par zarā sā ġhaur kar lenā
agar ye jānñā ho ālam-e-rūh-e-'ravāñ kyā thā

'rawan' kis ko KHabar unwan-e-aghaz-e-jahaan kya tha
zamin ka kya tha naqsha aur rang-e-asman kya tha

yahi hasti isi hasti ke kuchh TuTe hue rishte
wagarna aisa parda mere un ke darmiyan kya tha

tera baKHsha hua dil aur dil ki ye hawas-kari
mera is mein qusur ai dast-gir-e-asiyan kya tha

agar kuchh roz zinda rah ke mar jaana muqaddar hai
to is duniya mein aaKHir bais-e-taKHliq-e-jaan kya tha

hum itne fasle par aa gae hain ahd-e-mazi se
KHabar ye bhi nahin ajdad ka nam-o-nishan kya tha

kisi barq-e-tajalli par zara sa ghaur kar lena
agar ye jaanna ho aalam-e-ruh-e-'rawan kya tha

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 rawan kis ko KHabar unwan-e-aghaz-e-jahaan kya tha Nomaan Shauque

Leave a comment

+