Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hairat Gondvi

  • Ghazal


aaina dekhta hun nazar aa rahe ho tum


ā.īna dekhtā huuñ nazar aa rahe ho tum
kitne qarīb mujh se hue jā rahe ho tum

ye kyā fareb hai ki jo farmā rahe ho tum
maiñ ḳhud ko DhūñDhtā huuñ mile jā rahe ho tum

tum ko ye pech-o-tāb kī mushkil hai merī raah
mujh ko ye iztirāb ki ghabrā rahe ho tum

itnā bhī kar sakegā na kyā merā dast-e-shauq
kyuuñ zulf-e-kā.enāt ko suljhā rahe ho tum

tum ho tumhārā maiñ huuñ tumhārī bahār hai
ye kis ko dekh dekh ke sharmā rahe ho tum

ā.ankhoñ meñ ashk dil meñ ḳhalish lab pe hai fuġhāñ
ye ḳhud taḌap rahe ho ki taḌpā rahe ho tum

merā chaman to hai magar apnā kahūñ na maiñ
haañ maiñ samajh rahā huuñ jo samjhā rahe ho tum

hai un ko naaz parda-e-māh-o-nujūm par
kaise kahūñ ki saaf nazar aa rahe ho tum

rah rah ke kauñdtī haiñ andhere meñ bijliyāñ
tum yaad kar rahe ho ki yaad aa rahe ho tum

is kā malāl hai ki sitam sah rahe haiñ ham
is kā gilā nahīñ ki sitam Dhā rahe ho tum

aaina dekhta hun nazar aa rahe ho tum
kitne qarib mujh se hue ja rahe ho tum

ye kya fareb hai ki jo farma rahe ho tum
main KHud ko DhunDhta hun mile ja rahe ho tum

tum ko ye pech-o-tab ki mushkil hai meri rah
mujh ko ye iztirab ki ghabra rahe ho tum

itna bhi kar sakega na kya mera dast-e-shauq
kyun zulf-e-kaenat ko suljha rahe ho tum

tum ho tumhaara main hun tumhaari bahaar hai
ye kis ko dekh dekh ke sharma rahe ho tum

aaankhon mein ashk dil mein KHalish lab pe hai fughan
ye KHud taDap rahe ho ki taDpa rahe ho tum

mera chaman to hai magar apna kahun na main
han main samajh raha hun jo samjha rahe ho tum

hai un ko naz parda-e-mah-o-nujum par
kaise kahun ki saf nazar aa rahe ho tum

rah rah ke kaundti hain andhere mein bijliyan
tum yaad kar rahe ho ki yaad aa rahe ho tum

is ka malal hai ki sitam sah rahe hain hum
is ka gila nahin ki sitam Dha rahe ho tum


Leave a comment

+