Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidurrahman Niyazi

  • Ghazal


musafirat meri har justuju se Khaali hai


musāfirat mirī har justujū se ḳhālī hai
bas ik madār meñ phirne kī ḳhū banā lī hai

tamām vaqt maiñ shahr-e-gumāñ meñ rahtā huuñ
sukūñ se rahne kī mantiq na.ī nikālī hai

harīs āriyoñ kī bheñT chaḌh gayā chup-chāp
shajar pe ab koī pattā na koī Daalī hai

havā meñ bhar ga.ī hai bū-e-ishtihā har sū
kisī ġharīb ne apnī ridā uchhālī hai

laboñ pe chāshnī aur dil meñ nafratoñ kā zahr
ye āb-o-nār kī sañgat baḌī nirālī hai

batā rahā hai ye pattoñ kā mātamī sā shor
chaman se jald hī āñdhī guzarne vaalī hai

musafirat meri har justuju se KHali hai
bas ek madar mein phirne ki KHu bana li hai

tamam waqt main shahr-e-guman mein rahta hun
sukun se rahne ki mantiq nai nikali hai

haris aariyon ki bhenT chaDh gaya chup-chap
shajar pe ab koi patta na koi Dali hai

hawa mein bhar gai hai bu-e-ishtiha har su
kisi gharib ne apni rida uchhaali hai

labon pe chashni aur dil mein nafraton ka zahr
ye aab-o-nar ki sangat baDi nirali hai

bata raha hai ye patton ka matami sa shor
chaman se jald hi aandhi guzarne wali hai


Leave a comment

+