Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farah Rizwi

  • Ghazal


chalo sabil karen usko ja manane se


chalo sabīl kareñ us ko jā manāne se
ḳhushī ko giit mayassar nahīñ zamāne se

sukūt aisā samar-bār to kabhī na huā
gul-e-malāl jhaḌā ab ke shāḳhsāne se

tumhārā qurb hathelī pe ret jaisā hai
havā ke saath bikhartā hai ik bahāne se

ham apne bas meñ jabīnoñ ke bal nahīñ jaate
hameñ charāġh bulāte haiñ āstāne se

vo dil ke saath ulajhtī huī kamān-e-talab
vo ek tiir uchaTtā huā nishāne se

hamāre zaḳhm tamāshā nahīñ haiñ hairat haiñ
so is liye bhī chhupāte haiñ ik zamāne se

chalo sabil karen us ko ja manane se
KHushi ko git mayassar nahin zamane se

sukut aisa samar-bar to kabhi na hua
gul-e-malal jhaDa ab ke shaKHsane se

tumhaara qurb hatheli pe ret jaisa hai
hawa ke sath bikharta hai ek bahane se

hum apne bas mein jabinon ke bal nahin jate
hamein charagh bulate hain aastane se

wo dil ke sath ulajhti hui kaman-e-talab
wo ek tir uchaTta hua nishane se

hamare zaKHm tamasha nahin hain hairat hain
so is liye bhi chhupate hain ek zamane se


Leave a comment

+