Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yagana Changezi

  • Ghazal


yar ki taswir hi dikhla de ai mani mujhe


yaar kī tasvīr hī dikhlā de ai maanī mujhe
kuchh to ho is naza.a kī mushkil meñ āsānī mujhe

uf bhī kar saktā nahīñ ab karvaTeñ lenā kujā
zaḳhm-e-pahlū se hai vo taklīf-e-rūhānī mujhe

zāhid-e-maġhrūr rone par mire hañstā hai kyā
baḳhshvā.egā yahī ashk-e-pashemānī mujhe

dil ko us parda-nashīñ se ġhā.ebāna laag hai
khīñch legā ik-na-ik din jazb-e-rūhānī mujhe

yārab āġhāz-e-mohabbat kā ba-ḳhair anjām ho
dil lagā kar ho rahī hai kyā pashemānī mujhe

lau lagī hai yaar se apnī taraf khīñgā kyā
jalva-e-naqsh-o-nigār-e-ālam-e-fānī mujhe

vahshiyoñ ke vāste qaid-e-libās achchhī nahīñ
zeb detā hai yahī tashrīf-e-uryānī mujhe

josh-e-vahshat meñ zamīñ par paañv paḌhne kā nahīñ
le uḌegī nik.hat-e-gul kī pareshānī mujhe

ḳhaak ho jaane pe bhī mumkin na hogā dastaras
haath malvā.egī terī pāk-dāmānī mujhe

dard kā sāġhar bhī saaqī merī qismat meñ na thā
shauq meñ karnā paḌā āḳhir lahū paanī mujhe

mard-e-jāhil huuñ kujā meñ aur kujā ahl-e-kamāl
'yās' kyā ma.alūm andāz-e-ġhazal-ḳhvānī mujhe

yar ki taswir hi dikhla de ai mani mujhe
kuchh to ho is naza ki mushkil mein aasani mujhe

uf bhi kar sakta nahin ab karwaTen lena kuja
zaKHm-e-pahlu se hai wo taklif-e-ruhani mujhe

zahid-e-maghrur rone par mere hansta hai kya
baKHshwaega yahi ashk-e-pashemani mujhe

dil ko us parda-nashin se ghaebana lag hai
khinch lega ik-na-ik din jazb-e-ruhani mujhe

yarab aaghaz-e-mohabbat ka ba-KHair anjam ho
dil laga kar ho rahi hai kya pashemani mujhe

lau lagi hai yar se apni taraf khinga kya
jalwa-e-naqsh-o-nigar-e-alam-e-fani mujhe

wahshiyon ke waste qaid-e-libas achchhi nahin
zeb deta hai yahi tashrif-e-uryani mujhe

josh-e-wahshat mein zamin par panw paDhne ka nahin
le uDegi nikhat-e-gul ki pareshani mujhe

KHak ho jaane pe bhi mumkin na hoga dastaras
hath malwaegi teri pak-damani mujhe

dard ka saghar bhi saqi meri qismat mein na tha
shauq mein karna paDa aaKHir lahu pani mujhe

mard-e-jahil hun kuja mein aur kuja ahl-e-kamal
'yas' kya malum andaz-e-ghazal-KHwani mujhe


Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 164) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005) Edition : 2005

Leave a comment

+