Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hamdam Kashmiri

  • Ghazal


hum apne aapko phir aazma ke dekhenge


ham apne aap ko phir aazmā ke dekheñge
jalā ke dekh liyā ab bujhā ke dekheñge

na.e sire se kareñ apnī zindagī āġhāz
na.ī zamīñ pe nayā ghar banā ke dekheñge

karegā saath hamāre sulūk vo kaisā
kisī ko taḳht pe apne biThā ke dekheñge

dikhā.ī degā siyāh-o-safed rāhoñ meñ
ham apnī aañkh kī lau ko baḌhā ke dekheñge

guzārnī hai bahar-hāl zindagī apnī
kamā ke dekh liyā ab gañvā ke dekheñge

zarūr daad milegī ġhazal ho kaisī bhī
mushā.ere meñ chalo ham bhī gā ke dekheñge

hum apne aap ko phir aazma ke dekhenge
jala ke dekh liya ab bujha ke dekhenge

nae sire se karen apni zindagi aaghaz
nai zamin pe naya ghar bana ke dekhenge

karega sath hamare suluk wo kaisa
kisi ko taKHt pe apne biTha ke dekhenge

dikhai dega siyah-o-safed rahon mein
hum apni aankh ki lau ko baDha ke dekhenge

guzarni hai bahar-haal zindagi apni
kama ke dekh liya ab ganwa ke dekhenge

zarur dad milegi ghazal ho kaisi bhi
mushaere mein chalo hum bhi ga ke dekhenge


Source: Book : Waraq-e-saadah (Gazals) (Pg. 72) Author : Hamdam Kashmiri Publication : Hamdam Kashmiri, Khan Mahel, Shrinagar (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+