Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghaus Siwani

  • Ghazal


bhigi bhigi barkha rut ke manzar gile yaad karo


bhīgī bhīgī barkhā rut ke manzar giile yaad karo
do hoñT rasīle yaad karo do nain kaTīle yaad karo

tum saath hamāre chalte the sahrā bhī suhānā lagtā thā
gul-posh dikhā.ī dete the sab ret ke Tiile yaad karo

ghuñgrū kī sadā.eñ aatī thiiñ santūr kabhī baj uThte the
māhaul meñ gūñjā karte the sañgīt rasīle yaad karo

ham bhī the kuchh be-ḳhud se tum bhī the mad.hosh bahut
aur ehsās kī cholī ke kuchh band the Dhīle yaad karo

vo pyaar bharī ik manzil thī tā-hadd-e-nazar the phuul khile
tan-man meñ jvālā bharte the manzar rañgīle yaad karo

bhigi bhigi barkha rut ke manzar gile yaad karo
do honT rasile yaad karo do nain kaTile yaad karo

tum sath hamare chalte the sahra bhi suhana lagta tha
gul-posh dikhai dete the sab ret ke Tile yaad karo

ghungru ki sadaen aati thin santur kabhi baj uThte the
mahaul mein gunja karte the sangit rasile yaad karo

hum bhi the kuchh be-KHud se tum bhi the madhosh bahut
aur ehsas ki choli ke kuchh band the Dhile yaad karo

wo pyar bhari ek manzil thi ta-hadd-e-nazar the phul khile
tan-man mein jwala bharte the manzar rangile yaad karo


Leave a comment

+