Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Osaama ameer

  • Ghazal


maine sun rakkhi hai sahab ek kahani dariya ki


maiñ ne sun rakkhī hai sāhab ek kahānī dariyā kī
shaam kināre baiTh ke ik din vo bhī zabānī dariyā kī

varna ham bhī ā.īne ke bhed se vāqif ho jaate
ham ne apnī man-mānī kī ek na maanī dariyā kī

ret ke chhoTe TukḌe par hī ābādī maqsūd huī
usī bahāne chāroñ jānib hai sultānī dariyā kī

āñkheñ hī iz.hār kareñ to shāyad koī baat bane
sūraj Dhalte vaqt jo dekhī thī vīrānī dariyā kī

sub.h-e-azal se ek hī jaise milte julte dariyā haiñ
kis ne dekhī kis ne jaanī shakl purānī dariyā kī

sāt-samundar dekhne lag ga.e apne buḌhāpe kī jhuriyāñ
apne joban par jab aa.ī shoḳh javānī dariyā kī

main ne sun rakkhi hai sahab ek kahani dariya ki
sham kinare baiTh ke ek din wo bhi zabani dariya ki

warna hum bhi aaine ke bhed se waqif ho jate
hum ne apni man-mani ki ek na mani dariya ki

ret ke chhoTe TukDe par hi aabaadi maqsud hui
usi bahane chaaron jaanib hai sultani dariya ki

aankhen hi izhaar karen to shayad koi baat bane
suraj Dhalte waqt jo dekhi thi virani dariya ki

subh-e-azal se ek hi jaise milte julte dariya hain
kis ne dekhi kis ne jaani shakl purani dariya ki

sat-samundar dekhne lag gae apne buDhape ki jhuriyan
apne joban par jab aai shoKH jawani dariya ki


Leave a comment

+