Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faizan Hashmi

  • Ghazal


mere wajud ko maujudgi dikhati thi


mire vajūd ko maujūdgī dikhātī thī
diye kī lau mujhe dīvār kā batātī thī

maiñ jab zamīn se zohra pe jaayā kartā thā
tū kā.enāt kī zanjīr khīñchī jaatī thī

vo kyā kiran thī jo aatī thī mere siine meñ
tumhārī dhuup jab is jald tak na aatī thī

maiñ us ko ḳhvāb meñ kuchh aise dekhā kartā thā
tamām raat vo sote meñ muskurātī thī

ajiib vaqt thā is bench par baġhaicha meñ
ki din gayā nahīñ hotā thā raat aatī thī

mere wajud ko maujudgi dikhati thi
diye ki lau mujhe diwar ka batati thi

main jab zamin se zohra pe jaya karta tha
tu kaenat ki zanjir khinchi jati thi

wo kya kiran thi jo aati thi mere sine mein
tumhaari dhup jab is jald tak na aati thi

main us ko KHwab mein kuchh aise dekha karta tha
tamam raat wo sote mein muskuraati thi

ajib waqt tha is bench par baghaicha mein
ki din gaya nahin hota tha raat aati thi


Leave a comment

+