ḳhuub āzādī-e-sahāfat hai
nazm likhne pe bhī qayāmat hai
da.avā jamhūriyat kā hai har-ān
ye hukūmat bhī kyā hukūmat hai
dhāñdlī dhoñs kī hai paidāvār
sab ko ma.alūm ye haqīqat hai
ḳhauf ke zehn-o-dil pe saa.e haiñ
kis kī izzat yahāñ salāmat hai
kabhī jamhūriyat yahāñ aa.e
yahī 'jālib' hamārī hasrat hai
KHub aazadi-e-sahafat hai
nazm likhne pe bhi qayamat hai
dawa jamhuriyat ka hai har-an
ye hukumat bhi kya hukumat hai
dhandli dhons ki hai paidawar
sab ko malum ye haqiqat hai
KHauf ke zehn-o-dil pe sae hain
kis ki izzat yahan salamat hai
kabhi jamhuriyat yahan aae
yahi 'jalib' hamari hasrat hai
Leave a comment