Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jalandhari

  • Ghazal


muddaton tak jo paDhaya kiya ustad mujhe


muddatoñ tak jo paḌhāyā kiyā ustād mujhe
ishq meñ bhuul gayā kuchh na rahā yaad mujhe

kyā maiñ dīvāna huuñ yā-rab ki sar-e-rāhguzar
duur se ghūrne lagte haiñ parī-zād mujhe

ab hai āvāz kī vo shaan na baazū kī uḌaan
aur sayyād kiye detā hai āzād mujhe

dād-ḳhvāhī ke liye aur to sāmāñ na milā
nāla-o-āh pe rakhnī paḌī buniyād mujhe

mere sheroñ pe vo sharmā.e to ahbāb hañse
ai 'hafīz' aaj ġhazal kī ye milī daad mujhe

muddaton tak jo paDhaya kiya ustad mujhe
ishq mein bhul gaya kuchh na raha yaad mujhe

kya main diwana hun ya-rab ki sar-e-rahguzar
dur se ghurne lagte hain pari-zad mujhe

ab hai aawaz ki wo shan na bazu ki uDan
aur sayyaad kiye deta hai aazad mujhe

dad-KHwahi ke liye aur to saman na mila
nala-o-ah pe rakhni paDi buniyaad mujhe

mere sheron pe wo sharmae to ahbab hanse
ai 'hafiz' aaj ghazal ki ye mili dad mujhe


Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 215)

Leave a comment

+