ye barsoñ kā ta.alluq toḌ denā chāhte haiñ ham
ab apne aap ko bhī chhoḌ denā chāhte haiñ ham
kisī dahlīz par āñkhoñ ke ye raushan diye rakh kar
zamīr-e-sub.h ko jhiñjhoḌ denā chāhte haiñ ham
jidhar ham jā rahe haiñ us taraf TuuTā huā pul hai
ye bāgeñ is se pahle moḌ denā chāhte haiñ ham
ye naubat kal jo aanī hai to sharminda nahīñ hoñge
marāsim ehtiyātan toḌ denā chāhte haiñ ham
ajab dīvāngī hai jis ke ham saa.e meñ baiThe haiñ
usī dīvār se sar phoḌ denā chāhte haiñ ham
ta.alluq kirchiyoñ kī shakl meñ bikhrā to hai phir bhī
shikasta ā.īnoñ ko joḌ denā chāhte haiñ ham
ye barson ka talluq toD dena chahte hain hum
ab apne aap ko bhi chhoD dena chahte hain hum
kisi dahliz par aankhon ke ye raushan diye rakh kar
zamir-e-subh ko jhinjhoD dena chahte hain hum
jidhar hum ja rahe hain us taraf TuTa hua pul hai
ye bagen is se pahle moD dena chahte hain hum
ye naubat kal jo aani hai to sharminda nahin honge
marasim ehtiyatan toD dena chahte hain hum
ajab diwangi hai jis ke hum sae mein baiThe hain
usi diwar se sar phoD dena chahte hain hum
talluq kirchiyon ki shakl mein bikhra to hai phir bhi
shikasta aainon ko joD dena chahte hain hum
Leave a comment