Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yagana Changezi

  • Ghazal


baiTha hun panw toD ke tadbir dekhna


baiThā huuñ paañv toḌ ke tadbīr dekhnā
manzil qadam se lipTī hai taqdīr dekhnā

āvāze mujh pe kaste haiñ phir bandagān-e-ishq
paḌ jaa.e phir na paañv meñ zanjīr dekhnā

murdoñ se shart bāñdh ke soī hai apnī maut
haañ dekhnā zarā falak-e-pīr dekhnā

hosh uḌ na jaa.eñ san.at-e-behzād dekh kar
ā.īna rakh ke sāmne tasvīr dekhnā

parvāne kar chuke the sar-anjām ḳhud-kushī
fānūs aaḌe aa gayā taqdīr dekhnā

shāyad ḳhudā-na-ḳhāsta āñkheñ daġhā kareñ
achchhā nahīñ navishta-e-taqdīr dekhnā

bād-e-murād chal chukī lañgar uThāo 'yās'
phir aage baḌh ke ḳhūbī-e-taqdīr dekhnā

baiTha hun panw toD ke tadbir dekhna
manzil qadam se lipTi hai taqdir dekhna

aawaze mujh pe kaste hain phir bandagan-e-ishq
paD jae phir na panw mein zanjir dekhna

murdon se shart bandh ke soi hai apni maut
han dekhna zara falak-e-pir dekhna

hosh uD na jaen sanat-e-behzad dekh kar
aaina rakh ke samne taswir dekhna

parwane kar chuke the sar-anjam KHud-kushi
fanus aaDe aa gaya taqdir dekhna

shayad KHuda-na-KHasta aankhen dagha karen
achchha nahin nawishta-e-taqdir dekhna

baad-e-murad chal chuki langar uThao 'yas'
phir aage baDh ke KHubi-e-taqdir dekhna

RECITATIONS Fasih Akmal



00:00/00:00 baiTha hun panw toD ke tadbir dekhna Fasih Akmal

Leave a comment

+