Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Tabish

  • Ghazal


makan-bhar hum ko virani bahut hai


makāñ-bhar ham ko vīrānī bahut hai
magar ye dil ki sailānī bahut hai

hamāre paañv ulTe haiñ so ham ko
palaT jaane meñ āsānī bahut hai

sitāre chor āñkhoñ se na dekheñ
zamīñ par merī nigarānī bahut hai

abhī sūkhī nahīñ miTTī kī āñkheñ
abhī dariyāoñ meñ paanī bahut hai

ajab sī shart hai ye zindagī bhī
jo manvā.ī hai kam maanī bahut hai

zarūrat hī nahīñ dushman kī 'tābish'
mujhe merī tan-āsānī bahut hai

makan-bhar hum ko virani bahut hai
magar ye dil ki sailani bahut hai

hamare panw ulTe hain so hum ko
palaT jaane mein aasani bahut hai

sitare chor aankhon se na dekhen
zamin par meri nigarani bahut hai

abhi sukhi nahin miTTi ki aankhen
abhi dariyaon mein pani bahut hai

ajab si shart hai ye zindagi bhi
jo manwai hai kam mani bahut hai

zarurat hi nahin dushman ki 'tabish'
mujhe meri tan-asani bahut hai


Source: Book : Ishq Abaab (Pg. 211) Author : Abbas Tabish Edition : 2011

Leave a comment

+