Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Laxmi Narayan Farigh

  • Ghazal


KHwab mein bhi na kabhi un se mulaqat hui


ḳhvāb meñ bhī na kabhī un se mulāqāt huī
hameñ hāsil na kabhī vaj.h-e-mubāhāt huī

fikr-e-fardā hai kabhī ranj-o-ġham-e-dosh kabhī
kis qadar rūh-e-bashar morid-e-āfāt huī

ḳhasta-hālī pe mirī un ko bhī ronā aayā
ba.ad-e-muddat mire vīrāne meñ barsāt huī

vaj.h-e-āshob-e-tamannā huā fikr-e-jannat
vaj.h-e-āsūdgī-e-rūh munājāt huī

tishnagī miT na sakī kām-o-dahan kī 'fāriġh'
zindagī muft meñ marhūn-e-ḳharābāt huī

KHwab mein bhi na kabhi un se mulaqat hui
hamein hasil na kabhi wajh-e-mubahat hui

fikr-e-farda hai kabhi ranj-o-gham-e-dosh kabhi
kis qadar ruh-e-bashar morid-e-afat hui

KHasta-haali pe meri un ko bhi rona aaya
baad-e-muddat mere virane mein barsat hui

wajh-e-ashob-e-tamanna hua fikr-e-jannat
wajh-e-asudgi-e-ruh munajat hui

tishnagi miT na saki kaam-o-dahan ki 'farigh'
zindagi muft mein marhun-e-KHarabaat hui


Source: Book : Ehsasat-e-Farigh (Pg. 26) Author : Laxmi Narayan Farigh

Leave a comment

+