bāzār-e-jihālat meñ suḳhan bech rahā huuñ
ye giit ye naġhmāt ye fan bech rahā huuñ
hai koī ḳharīdār to āvāz lagā.e
roTī ke evaz sher-o-suḳhan bech rahā huuñ
kyā daam lagāte ho chalo tum hī batāo
sachchā.ī kā anmol ratan bech rahā huuñ
purkhoñ ne banāyā thā jise laakh jatan se
tahzīb-o-adab kā vo bhavan bech rahā huuñ
tum Thiik hī kahte the tijārat nahīñ āsāñ
ab kaun ḳharīde jo suḳhan bech rahā huuñ
bazar-e-jihaalat mein suKHan bech raha hun
ye git ye naghmat ye fan bech raha hun
hai koi KHaridar to aawaz lagae
roTi ke ewaz sher-o-suKHan bech raha hun
kya dam lagate ho chalo tum hi batao
sachchai ka anmol ratan bech raha hun
purkhon ne banaya tha jise lakh jatan se
tahzib-o-adab ka wo bhawan bech raha hun
tum Thik hi kahte the tijarat nahin aasan
ab kaun KHaride jo suKHan bech raha hun
Source: Book : سمے کمہار ہے Author : چندر واحد Publication : اے۔1؍بشچمی گورکھ پارک شاہدرہ دہلی۔32 (2001)
Leave a comment