Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghamgeen Dehlvi

  • Ghazal


maine har-chand ki us kuche mein jaana chhoDa


maiñ ne har-chand ki us kūche meñ jaanā chhoḌā
par tasavvur meñ mire us ne na aanā chhoḌā

us ne kahne se raqīboñ ke mujhe chhoḌ diyā
jis kī ulfat meñ dilā tū ne zamānā chhoḌā

uTh gayā parda-e-nāmūs mire ishq kā aah
us ne khiḌkī meñ jo chilman kā lagānā chhoḌā

haath se mere vo piitā nahīñ muddat se sharāb
yaaro kyā apnī ḳhushī maiñ ne pilānā chhoḌā

tere 'ġhamgīñ' ko pareshānī hai us roz se yaar
tū ne jis roz se zulfoñ kā banānā chhoḌā

main ne har-chand ki us kuche mein jaana chhoDa
par tasawwur mein mere us ne na aana chhoDa

us ne kahne se raqibon ke mujhe chhoD diya
jis ki ulfat mein dila tu ne zamana chhoDa

uTh gaya parda-e-namus mere ishq ka aah
us ne khiDki mein jo chilman ka lagana chhoDa

hath se mere wo pita nahin muddat se sharab
yaro kya apni KHushi main ne pilana chhoDa

tere 'ghamgin' ko pareshani hai us roz se yar
tu ne jis roz se zulfon ka banana chhoDa


Leave a comment

+