Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Naresh

  • Ghazal


apne man mein jhank kar bhi KHud se begana raha


apne man meñ jhāñk kar bhī ḳhud se begāna rahā
tū haqīqat āshnā ho kar bhī dīvāna rahā

ruḳh agarche jānib-e-ka.aba rahā hai shaiḳh kā
dil magar yād-e-butāñ se ik parī-ḳhāna rahā

sañg-e-asvad ko diyā bosa to dil kahne lagā
ka.aba-o-qibla se kitnī duur but-ḳhāna rahā

ek din pī kar zarā sach kah diyā thā umr bhar
shakl se bezār merī pīr-e-mai-ḳhāna rahā

ishq ne baḳhshī hai vo shohrat 'naresh' ik umr tak
bachche bachche kī zabāñ par merā afsāna rahā

apne man mein jhank kar bhi KHud se begana raha
tu haqiqat aashna ho kar bhi diwana raha

ruKH agarche jaanib-e-kaba raha hai shaiKH ka
dil magar yaad-e-butan se ek pari-KHana raha

sang-e-aswad ko diya bosa to dil kahne laga
kaba-o-qibla se kitni dur but-KHana raha

ek din pi kar zara sach kah diya tha umr bhar
shakl se bezar meri pir-e-mai-KHana raha

ishq ne baKHshi hai wo shohrat 'naresh' ek umr tak
bachche bachche ki zaban par mera afsana raha


Source:

Leave a comment

+