Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ezaz Kazmi

  • Ghazal


tez hai mera qalam talwar se


tez hai merā qalam talvār se
dost ḳhā.if haiñ mirī raftār se

jeb meñ kuchh bhī nahīñ thā is liye
lauT kar maiñ aa gayā bāzār se

jholiyāñ bhar bhar ke jaate haiñ sabhī
nausha-e-lajpāl ke darbār se

phir rasā.ī meñ nahīñ rah paayā vo
chāñd uupar ho gayā dīvār se

aap ġhusse meñ raheñ aur mere dost
luuT kar sab le ga.e haiñ pyaar se

ek dil TuuTā huā hai ek maiñ
aur kuchh jazbāt haiñ be-kār se

thoḌā thoḌā ḳhud se maiñ ḳhā.if rahā
thoḌā thoḌā ġhaib ke asrār se

tez hai mera qalam talwar se
dost KHaif hain meri raftar se

jeb mein kuchh bhi nahin tha is liye
lauT kar main aa gaya bazar se

jholiyan bhar bhar ke jate hain sabhi
nausha-e-lajpal ke darbar se

phir rasai mein nahin rah paya wo
chand upar ho gaya diwar se

aap ghusse mein rahen aur mere dost
luT kar sab le gae hain pyar se

ek dil TuTa hua hai ek main
aur kuchh jazbaat hain be-kar se

thoDa thoDa KHud se main KHaif raha
thoDa thoDa ghaib ke asrar se


Leave a comment

+