chehra-e-zindagī nikhar aayā
jab kabhī ham ne jaam chhalkāyā
shām-e-hijrāñ bhī ik qayāmat thī
aap aa.e to mujh ko yaad aayā
rañg phīkā paḌā vafāoñ kā
aaj kuchh is tarah vo sharmāyā
yuuñ to be-chainiyāñ muqaddar thiiñ
terī qurbat ne aur taḌpāyā
kyā qayāmat vo kam-nigāhī thī
har haqīqat ko jis ne jhuThlāyā
kyā huī vo diloñ kī māsūmī
husn rūThā na ishq pachhtāyā
haa.e kis kis maqām par dil ko
us uchaTtī nazar ne bhaTkāyā
ḳhud-shanāsī thī justujū terī
tujh ko DhūñDā to aap ko paayā
'naqsh' āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū
aaj aise meñ kaun yaad aayā
chehra-e-zindagi nikhar aaya
jab kabhi hum ne jam chhalkaya
sham-e-hijran bhi ek qayamat thi
aap aae to mujh ko yaad aaya
rang phika paDa wafaon ka
aaj kuchh is tarah wo sharmaya
yun to be-chainiyan muqaddar thin
teri qurbat ne aur taDpaya
kya qayamat wo kam-nigahi thi
har haqiqat ko jis ne jhuThlaya
kya hui wo dilon ki masumi
husn ruTha na ishq pachhtaya
hae kis kis maqam par dil ko
us uchaTti nazar ne bhaTkaya
KHud-shanasi thi justuju teri
tujh ko DhunDa to aap ko paya
'naqsh' aankhon mein aa gae aansu
aaj aise mein kaun yaad aaya
Source: Book : Andaaz (Pg. 143) Author : Mahesh Chandr Naqsh Publication : Sangam Kitab Ghar, Delhi (1962) Edition : 1962
Leave a comment