Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lais Quraishi

  • Ghazal


sukut-e-lab ko mere arz-e-haal hi samjho


sukūt-e-lab ko mire arz-e-hāl hī samjho
mirī anā-e-ḳhafī ko savāl hī samjho

vo rū-ba-rū haiñ mire dil magar ye kahtā hai
ḳhayāl-e-husn ko husn-e-ḳhayāl hī samjho

rafāqatoñ ke qarīne badalte rahte haiñ
so karb-e-hijr ko lutf-e-visāl hī samjho

taḌap rahe haiñ jo yuuñ ham sadā-e-sāz ke saath
use kuchh aur nahīñ vajd-o-hāl hī samjho

mire hunar ko rahā bazm-e-kam-nazar se gurez
use bhī mere hunar kā kamāl hī samjho

havā-e-sub.h-e-chaman aur ek baar agar
guzar ga.ī to hameñ pā.emāl hī samjho

diloñ ke zaḳhm chhupe haiñ lahū kī chādar meñ
tumheñ ġharaz nahīñ tum indimāl hī samjho

husūl-e-kaif ko mai-ḳhāna-e-hayāt meñ 'lais'
shikast-e-jām se pahle muhāl hī samjho

sukut-e-lab ko mere arz-e-haal hi samjho
meri ana-e-KHafi ko sawal hi samjho

wo ru-ba-ru hain mere dil magar ye kahta hai
KHayal-e-husn ko husn-e-KHayal hi samjho

rafaqaton ke qarine badalte rahte hain
so karb-e-hijr ko lutf-e-visal hi samjho

taDap rahe hain jo yun hum sada-e-saz ke sath
use kuchh aur nahin wajd-o-haal hi samjho

mere hunar ko raha bazm-e-kam-nazar se gurez
use bhi mere hunar ka kamal hi samjho

hawa-e-subh-e-chaman aur ek bar agar
guzar gai to hamein paemal hi samjho

dilon ke zaKHm chhupe hain lahu ki chadar mein
tumhein gharaz nahin tum indimal hi samjho

husul-e-kaif ko mai-KHana-e-hayat mein 'lais'
shikast-e-jam se pahle muhaal hi samjho


Leave a comment

+