Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naeem Gilani

  • Ghazal


guzre waqt ki shayad tujhe KHabar kam hai


guzre vaqt kī shāyad tujhe ḳhabar kam hai
mire safar meñ koī tujh sā ham-safar kam hai

gilā muaaf magar maiñ jahāñ paḌā huā huuñ
mire charāġh tirī raushnī udhar kam hai

sharīk-e-hāl huī thī jahāñ kahīñ duniyā
faqat vahīñ se tirā hijr-e-mo'atabar kam hai

ga.ī rutoñ meñ bahut guftugū rahī jis se
bhare chaman meñ vo bas ek hī shajar kam hai

tirī nazar meñ na hoñgī vo muntazir sham.eñ
ki dil-galī se to yuuñ bhī tirā guzar kam hai

badan se aage jo baḌhtā nahīñ tabīb mire
so dil ke zaḳhm kī jānib tirī nazar kam hai

guzre waqt ki shayad tujhe KHabar kam hai
mere safar mein koi tujh sa ham-safar kam hai

gila muaf magar main jahan paDa hua hun
mere charagh teri raushni udhar kam hai

sharik-e-haal hui thi jahan kahin duniya
faqat wahin se tera hijr-e-mo'atabar kam hai

gai ruton mein bahut guftugu rahi jis se
bhare chaman mein wo bas ek hi shajar kam hai

teri nazar mein na hongi wo muntazir shamen
ki dil-gali se to yun bhi tera guzar kam hai

badan se aage jo baDhta nahin tabib mere
so dil ke zaKHm ki jaanib teri nazar kam hai


Leave a comment

+