Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aashufta Changezi

  • Ghazal


sadaen qaid karun aahaTen chura le jaun


sadā.eñ qaid karūñ āhaTeñ churā le jā.ūñ
mahakte jism kī sab ḳhushbueñ uḌā le jā.ūñ

balā kā shor hai tūfān aa gayā shāyad
kahāñ kā raḳht-e-safar ḳhud ko hī bachā le jā.ūñ

tirī amānateñ mahfūz rakh na pā.ūñgā
dobāra lauT ke aane kī bas duā le jā.ūñ

kahā hai dariyā ne vo shart haar jā.egā
jo ek din meñ use saath maiñ bahā le jā.ūñ

abhī to aur na jaane kahāñ kahāñ bhaTkūñ
kabhī bahāyā thā dariyā meñ jo diyā le jā.ūñ

sadaen qaid karun aahaTen chura le jaun
mahakte jism ki sab KHushbuen uDa le jaun

bala ka shor hai tufan aa gaya shayad
kahan ka raKHt-e-safar KHud ko hi bacha le jaun

teri amanaten mahfuz rakh na paunga
dobara lauT ke aane ki bas dua le jaun

kaha hai dariya ne wo shart haar jaega
jo ek din mein use sath main baha le jaun

abhi to aur na jaane kahan kahan bhaTkun
kabhi bahaya tha dariya mein jo diya le jaun


Leave a comment

+