vo rind kyā ki jo piite haiñ be-ḳhudī ke liye
surūr chāhiye vo bhī kabhī kabhī ke liye
ye kyā ki bazm meñ sham.eñ jalā ke baiThe ho
kabhī milo to sar-e-rāh dushmanī ke liye
avadh kī shaam rafīqoñ ko mah-jabīnoñ ko
har ek chhoḌ ke aa.e the bamba.ī ke liye
magar ye kyā ki ba-juz-dard kuchh hameñ na milā
ajiib shahr hai ye ek ajnabī ke liye
hazār chāheñ na chūTegī ham se ye duniyā
yahīñ raheñge mohabbat kī be-kasī ke liye
koī panāh nahīñ koī jā-e-amn nahīñ
hayāt johd-e-musalsal hai aadmī ke liye
ye kah rahā hai koī apne jāñ-nisāroñ se
kuchh aur chāhiye ab rasm-e-āshiqī ke liye
kahāñ kahāñ na pukārā kahāñ kahāñ na ga.e
bas ik tabassum-e-pinhāñ kī raushnī ke liye
wo rind kya ki jo pite hain be-KHudi ke liye
surur chahiye wo bhi kabhi kabhi ke liye
ye kya ki bazm mein shamen jala ke baiThe ho
kabhi milo to sar-e-rah dushmani ke liye
awadh ki sham rafiqon ko mah-jabinon ko
har ek chhoD ke aae the bambai ke liye
magar ye kya ki ba-juz-dard kuchh hamein na mila
ajib shahr hai ye ek ajnabi ke liye
hazar chahen na chuTegi hum se ye duniya
yahin rahenge mohabbat ki be-kasi ke liye
koi panah nahin koi ja-e-amn nahin
hayat johd-e-musalsal hai aadmi ke liye
ye kah raha hai koi apne jaan-nisaron se
kuchh aur chahiye ab rasm-e-ashiqi ke liye
kahan kahan na pukara kahan kahan na gae
bas ek tabassum-e-pinhan ki raushni ke liye
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
wo rind kya ki jo pite hain be-KHudi ke liye
Nomaan Shauque
Leave a comment