Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jamal Ehsani

  • Ghazal


zara si baat pe dil se bigaD aaya hun


zarā sī baat pe dil se bigāḌ aayā huuñ
banā banāyā huā ghar ujaaḌ aayā huuñ

vo intiqām kī ātish thī mere siine meñ
milā na koī to ḳhud ko pachhāḌ aayā huuñ

maiñ is jahān kī qismat badalne niklā thā
aur apne haath kā likkhā hī phaaḌ aayā huuñ

ab apne dūsre phere ke intizār meñ huuñ
jahāñ jahāñ mire dushman haiñ taaḌ aayā huuñ

maiñ us galī meñ gayā aur dil o nigāh samet
'jamāl' jeb meñ jo kuchh thā jhaaḌ aayā huuñ

zara si baat pe dil se bigaD aaya hun
bana banaya hua ghar ujaD aaya hun

wo intiqam ki aatish thi mere sine mein
mila na koi to KHud ko pachhaD aaya hun

main is jahan ki qismat badalne nikla tha
aur apne hath ka likkha hi phaD aaya hun

ab apne dusre phere ke intizar mein hun
jahan jahan mere dushman hain taD aaya hun

main us gali mein gaya aur dil o nigah samet
'jamal' jeb mein jo kuchh tha jhaD aaya hun


Leave a comment

+