Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Pallavi Mishra

  • Ghazal


use mohabbat hai humse lekin kabhi zaban se kaha nahin hai


use mohabbat hai ham se lekin kabhī zabāñ se kahā nahīñ hai
nigāh paḌhne meñ ham haiñ māhir use ye shāyad patā nahīñ hai

qadam tale hai zamīn ġhā.eb kahīñ pe chhat kā patā nahīñ hai
ye bhed kyuuñ hai samajh sake jo abhī talak to milā nahīñ hai

guzar rahī zindagī ye kaisī jo pūchhte ho to kyā batā.ūñ
ḳhudā se mujh ko gila nahīñ hai magar jo chāhā milā nahīñ hai

vo kah rahā hai ki jaan apnī hamārī ḳhātir luTā sakegā
hai kaun jis ne vafā meñ ye sab kahā nahīñ yā sunā nahīñ hai

na zindagī se mujhe gila hai na zindagī se tujhe gila hai
magar alag is tarah se jiinā tumhīñ kaho kyā sazā nahīñ hai

kisī ko māñge binā mile sab kisī kī jholī rahe hai ḳhālī
ki is ke pīchhe ḳhudā kī manshā hai kyā kisī ko patā nahīñ hai

ki mushkiloñ se Daro nahīñ aur kaam himmat se lo hamesha
tabhī saphaltā milegī ik din ye sach kisī se chhupā nahīñ hai

use mohabbat hai hum se lekin kabhi zaban se kaha nahin hai
nigah paDhne mein hum hain mahir use ye shayad pata nahin hai

qadam tale hai zamin ghaeb kahin pe chhat ka pata nahin hai
ye bhed kyun hai samajh sake jo abhi talak to mila nahin hai

guzar rahi zindagi ye kaisi jo puchhte ho to kya bataun
KHuda se mujh ko gila nahin hai magar jo chaha mila nahin hai

wo kah raha hai ki jaan apni hamari KHatir luTa sakega
hai kaun jis ne wafa mein ye sab kaha nahin ya suna nahin hai

na zindagi se mujhe gila hai na zindagi se tujhe gila hai
magar alag is tarah se jina tumhin kaho kya saza nahin hai

kisi ko mange bina mile sab kisi ki jholi rahe hai KHali
ki is ke pichhe KHuda ki mansha hai kya kisi ko pata nahin hai

ki mushkilon se Daro nahin aur kaam himmat se lo hamesha
tabhi saphalta milegi ek din ye sach kisi se chhupa nahin hai


Leave a comment

+