Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Taleef Haidar

  • Ghazal


na be-kali ka hunar hai na jaan-fazai ka


na be-kalī kā hunar hai na jāñ-fazā.ī kā
hameñ to shauq hai bas yūñhī nai-navā.ī kā

jab us ko jānñe nikle to kuchh nahīñ jaanā
ḳhudā se ham ko bhī da.avā thā āshnā.ī kā

rah-e-hayāt meñ koī nahīñ to kyā shikva
hameñ gila hai to bas apnī bevafā.ī kā

hamārī āñkhoñ se shabnam Tapak rahī hai abhī
yahī to vaqt hai us gul kī rū-numā.ī kā

use kahāñ hameñ qaidī banā ke rakhnā thā
hamīñ ko shauq nahīñ thā kabhī rihā.ī kā

na be-kali ka hunar hai na jaan-fazai ka
hamein to shauq hai bas yunhi nai-nawai ka

jab us ko jaanne nikle to kuchh nahin jaana
KHuda se hum ko bhi dawa tha aashnai ka

rah-e-hayat mein koi nahin to kya shikwa
hamein gila hai to bas apni bewafai ka

hamari aankhon se shabnam Tapak rahi hai abhi
yahi to waqt hai us gul ki ru-numai ka

use kahan hamein qaidi bana ke rakhna tha
hamin ko shauq nahin tha kabhi rihai ka


Leave a comment

+