Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Shahid

  • Ghazal


haalat par nigah ruton par nazar na thi


hālāt par nigāh rutoñ par nazar na thī
jab tak rahe chaman meñ chaman kī ḳhabar na thī

ḳhud apne ghar ko aag dikhā.ī thī aap ne
is meñ to koī sāzish-e-barq-o-sharar na thī

rūdād-e-tīra-baḳhtī-e-ahbāb kyā kaheñ
un ke liye sahar bhī tulū-e-sahar na thī

fasl-e-bahār meñ tar-o-tāza nahīñ havā
shāyad shajar ko ḳhvāhish-e-barg-o-samar na thī

TuuTī huī umiid shikasta the hausle
dil kī tabāhiyoñ pe magar aañkh tar na thī

dasht-e-talab meñ itne añdhere the kārgar
raḳhshanda ik kiran bhī sar-e-rahguzar na thī

phir kyuuñ sunā diyā thā adālat ne faisla
'shāhid' mirī gavāhī agar mo'atabar na thī

haalat par nigah ruton par nazar na thi
jab tak rahe chaman mein chaman ki KHabar na thi

KHud apne ghar ko aag dikhai thi aap ne
is mein to koi sazish-e-barq-o-sharar na thi

rudad-e-tira-baKHti-e-ahbab kya kahen
un ke liye sahar bhi tulu-e-sahar na thi

fasl-e-bahaar mein tar-o-taza nahin hawa
shayad shajar ko KHwahish-e-barg-o-samar na thi

TuTi hui umid shikasta the hausle
dil ki tabahiyon pe magar aankh tar na thi

dasht-e-talab mein itne andhere the kargar
raKHshanda ek kiran bhi sar-e-rahguzar na thi

phir kyun suna diya tha adalat ne faisla
'shahid' meri gawahi agar mo'atabar na thi


Leave a comment

+