Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Gorakhpuri

  • Ghazal


ashk-e-gham aankh se bahar bhi nahin aane ka


ashk-e-ġham aañkh se bāhar bhī nahīñ aane kā
abr chhaT jaa.eñ vo manzar bhī nahīñ aane kā

ab ke āġhāz-e-safar soch samajh ke karnā
dasht milne kā nahīñ ghar bhī nahīñ aane kā

haa.e kyā ham ne taḌapne kā sila paayā hai
aisā ārām jo aa kar bhī nahīñ aane kā

ahd-e-'ġhālib' se ziyāda hai mire ahd kā karb
ab to kuuze meñ samundar bhī nahīñ aane kā

sabza dīvār pe ug aayā 'zafar' ḳhush ho lo
aage āñkhoñ meñ ye manzar bhī nahīñ aane kā

ashk-e-gham aankh se bahar bhi nahin aane ka
abr chhaT jaen wo manzar bhi nahin aane ka

ab ke aaghaz-e-safar soch samajh ke karna
dasht milne ka nahin ghar bhi nahin aane ka

hae kya hum ne taDapne ka sila paya hai
aisa aaram jo aa kar bhi nahin aane ka

ahd-e-'ghaalib' se ziyaada hai mere ahd ka karb
ab to kuze mein samundar bhi nahin aane ka

sabza diwar pe ug aaya 'zafar' KHush ho lo
aage aankhon mein ye manzar bhi nahin aane ka

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Unknown

Leave a comment

+