Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vali Madni

  • Ghazal


bahut TuTa hun lekin hausla zinda bahut kuchh hai


bahut TuuTā huuñ lekin hausla zinda bahut kuchh hai
mire andar abhī īsār kā jazba bahut kuchh hai

atā kī hai usī ne zindagī ko karb kī daulat
magar is meñ mire dil kā bhī sarmāya bahut kuchh hai

bachātā hai kahāñ ye dopahar kī dhuup se ham ko
yuuñ kahne ko yahāñ dīvār kā saaya bahut kuchh hai

mohabbat kā jise aaseb kahte haiñ jahāñ vaale
mire dil par isī aaseb kā saaya bahut kuchh hai

vo aayā hai na aa.egā bujhā de yaad kī sham.eñ
dil-e-nādāñ ko tanhā.ī meñ samjhāyā bahut kuchh hai

koī do ghūñT pī kar jī to saktā hai 'valī' lekin
kisī dariyā se tishna-lab guzar jaanā bahut kuchh hai

bahut TuTa hun lekin hausla zinda bahut kuchh hai
mere andar abhi isar ka jazba bahut kuchh hai

ata ki hai usi ne zindagi ko karb ki daulat
magar is mein mere dil ka bhi sarmaya bahut kuchh hai

bachata hai kahan ye dopahar ki dhup se hum ko
yun kahne ko yahan diwar ka saya bahut kuchh hai

mohabbat ka jise aaseb kahte hain jahan wale
mere dil par isi aaseb ka saya bahut kuchh hai

wo aaya hai na aaega bujha de yaad ki shamen
dil-e-nadan ko tanhai mein samjhaya bahut kuchh hai

koi do ghunT pi kar ji to sakta hai 'wali' lekin
kisi dariya se tishna-lab guzar jaana bahut kuchh hai


Source: Book : Izhaar ki faslain (Pg. 46) Author : wali madani Publication : Maktaba-e-sadaf (2013) Edition : 2013

Leave a comment

+