tirī chashm-e-tarab ko dekhnā paḌtā hai pur-nam bhī
mohabbat ḳhanda-e-be-bāk bhī hai girya-e-ġham bhī
thakan tere badan kī uzr koī DhūñDh hī letī
hadīs-e-mahfil-e-shab kah rahī hai zulf barham bhī
ba-qadr-e-dil yahāñ se shola-e-jāñ-sāz miltā hai
charāġh-e-husn kī lau shoḳh bhī hai aur maddham bhī
mirī tanhā.iyoñ kī dil-kashī terī balā jaane
merī tanhā.iyoñ se pyaar kartā hai tirā ġham bhī
bahāroñ ke ġhazal-ḳhvāñ aaj ye mahsūs karte haiñ
pas-e-dīvār-e-gul rotī rahī hai chashm-e-shabnam bhī
qarīb aate magar kuchh fāsla bhī darmiyāñ rahtā
kamī ye rah ga.ī hai bāvajūd-e-rabt-e-bāham bhī
'zahīr' un ko hamāre dil kī har shoḳhī gavārā thī
unheñ karnā paḌegā ab hamāre dil kā mātam bhī
teri chashm-e-tarab ko dekhna paDta hai pur-nam bhi
mohabbat KHanda-e-be-bak bhi hai girya-e-gham bhi
thakan tere badan ki uzr koi DhunDh hi leti
hadis-e-mahfil-e-shab kah rahi hai zulf barham bhi
ba-qadr-e-dil yahan se shola-e-jaan-saz milta hai
charagh-e-husn ki lau shoKH bhi hai aur maddham bhi
meri tanhaiyon ki dil-kashi teri bala jaane
meri tanhaiyon se pyar karta hai tera gham bhi
bahaaron ke ghazal-KHwan aaj ye mahsus karte hain
pas-e-diwar-e-gul roti rahi hai chashm-e-shabnam bhi
qarib aate magar kuchh fasla bhi darmiyan rahta
kami ye rah gai hai bawajud-e-rabt-e-baham bhi
'zahir' un ko hamare dil ki har shoKHi gawara thi
unhen karna paDega ab hamare dil ka matam bhi
Source: Book : kulliyat-e-zahiir (Pg. 24) Author : Zaheer kaashmeeri Publication : al hamad publication (1994) Edition : 1994
Leave a comment