Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Manzoor

  • Ghazal


TuT kar bikhre na suraj bhi hai mujhko Dar bahut


TuuT kar bikhre na sūraj bhī hai mujh ko Dar bahut
habs andar se ziyāda aaj hai bāhar bahut

mujh ko bhī aatā hai fan sāhib-navāzī kā magar
kyā karūñ merī anā mujh se bhī hai ḳhud-sar bahut

ġham-zada kartī hai mujh ko bas darūñ-bīnī mirī
yuuñ to maiñ bhī dekhtā huuñ ḳhushnumā manzar bahut

apnī āñkheñ ghar pe rakh kar bhī tamāshā.ī haiñ log
aur un kī is adā par ḳhush haiñ bāzīgar bahut

ab tarāshā hī nahīñ jaatā kabhī paikar koī
aaj bhī aazar bahut haiñ aaj bhī patthar bahut

maiñ kisī kī be-gharī kā kis liye mātam karūñ
zindagī ḳhud aaj lagtī hai mujhe be-ghar bahut

gul-parastī par na kar isrār ai 'manzūr' tū
dekh har ik moḌ par haiñ shahr meñ patthar bahut

TuT kar bikhre na suraj bhi hai mujh ko Dar bahut
habs andar se ziyaada aaj hai bahar bahut

mujh ko bhi aata hai fan sahib-nawazi ka magar
kya karun meri ana mujh se bhi hai KHud-sar bahut

gham-zada karti hai mujh ko bas darun-bini meri
yun to main bhi dekhta hun KHushnuma manzar bahut

apni aankhen ghar pe rakh kar bhi tamashai hain log
aur un ki is ada par KHush hain bazigar bahut

ab tarasha hi nahin jata kabhi paikar koi
aaj bhi aazar bahut hain aaj bhi patthar bahut

main kisi ki be-ghari ka kis liye matam karun
zindagi KHud aaj lagti hai mujhe be-ghar bahut

gul-parasti par na kar israr ai 'manzur' tu
dekh har ek moD par hain shahr mein patthar bahut


Source: Book : Natamam (Pg. 34) Author : Hakeem Manzoor Publication : Samt Publication 2/48 Rajendar Nagar New Delhi-110060 (1977) Edition : 1977

Leave a comment

+