dete haiñ mere jaam meñ dekheñ sharāb kab
aatā hai māhtāb ke ghar āftāb kab
Thahrā hai ik jagah dil-e-ḳhāna-ḳharāb kab
dariyā meñ ghar banā ke rahā hai habāb kab
jab chhoḌ dī umiid to vo mehrbāñ hue
nākāmiyoñ meñ baḳht huā kāmyāb kab
dekhā hai vasl-e-ġhair meñ shab un ko dekhiye
ulTā asar dikhātī hai tābīr-e-ḳhvāb kab
'kaifī' ko riñd jaan ke jaane nahīñ diyā
hai bārgāh-e-ḳhās meñ vo bāryāb kab
dete hain mere jam mein dekhen sharab kab
aata hai mahtab ke ghar aaftab kab
Thahra hai ek jagah dil-e-KHana-KHarab kab
dariya mein ghar bana ke raha hai habab kab
jab chhoD di umid to wo mehrban hue
nakaamiyon mein baKHt hua kaamyab kab
dekha hai wasl-e-ghair mein shab un ko dekhiye
ulTa asar dikhati hai tabir-e-KHwab kab
'kaifi' ko rind jaan ke jaane nahin diya
hai bargah-e-KHas mein wo baryab kab
Source: Khumnistan-e-kaifi
Leave a comment