Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Karamat Ali Karamat

  • Ghazal


dil ka har ek zaKHm gahra hai


dil kā har ek zaḳhm gahrā hai
is se har vaqt ḳhuun ristā hai

dam liyā ham ne ġham ke saa.e meñ
varna har samt ḳhushk sahrā hai

us ko kis tarah maiñ bhulā detā
jis kā har dam ḳhayāl aatā hai

bujh gayā jab se apne dil kā charāġh
chāñdnī kā bhī rañg phīkā hai

ik sahārā milā hai ġham kā hameñ
varna duniyā meñ kaun kis kā hai

yuuñ to kaunain mere sāmne haiñ
kaun merī nazar meñ tujh sā hai

ye batā.e koī 'karāmat' se
muḳhtalif sab se us kā lahja hai

dil ka har ek zaKHm gahra hai
is se har waqt KHun rista hai

dam liya hum ne gham ke sae mein
warna har samt KHushk sahra hai

us ko kis tarah main bhula deta
jis ka har dam KHayal aata hai

bujh gaya jab se apne dil ka charagh
chandni ka bhi rang phika hai

ek sahaara mila hai gham ka hamein
warna duniya mein kaun kis ka hai

yun to kaunain mere samne hain
kaun meri nazar mein tujh sa hai

ye batae koi 'karamat' se
muKHtalif sab se us ka lahja hai


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+