Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Moradaabadi

  • Ghazal


haalat-e-dil wahi rahi maqsad-e-dil ko pa ke bhi


hālat-e-dil vahī rahī maqsad-e-dil ko pā ke bhī
ham to sukūñ na pā sake un ke qarīb jā ke bhī

izn-e-nazāra to diyā jur.at-e-dīd chhīn lī
vo kabhī sāmne na aa.e ruḳh se hijāb uThā ke bhī

dil hai na zauq-e-ārzū koī talab na justujū
ab vo kareñge kyā mujhe sāhib-e-dil banā ke bhī

pās-e-razā-e-dost ko ahl-e-vafā se pūchhiye
kuchh na zabāñ se kah sake un kā ishāra pā ke bhī

khul gayā rāz-e-hāl-e-dil jab vo harīm-e-nāz meñ
ham se nazar churā.īye sab se nazar milā ke bhī

yuuñ bhī ik imtihāñ sahī jazb-e-darūn-e-ishq kā
kuchh dinoñ dekh lījiye dil se hameñ bhulā ke bhī

kam huī kyā fasurdagī 'kaif'-e-alam-nasīb kī
aap ne dekh to liyā bārhā muskurā ke bhī

haalat-e-dil wahi rahi maqsad-e-dil ko pa ke bhi
hum to sukun na pa sake un ke qarib ja ke bhi

izn-e-nazara to diya jurat-e-did chhin li
wo kabhi samne na aae ruKH se hijab uTha ke bhi

dil hai na zauq-e-arzu koi talab na justuju
ab wo karenge kya mujhe sahib-e-dil bana ke bhi

pas-e-raza-e-dost ko ahl-e-wafa se puchhiye
kuchh na zaban se kah sake un ka ishaara pa ke bhi

khul gaya raaz-e-haal-e-dil jab wo harim-e-naz mein
hum se nazar churaiye sab se nazar mila ke bhi

yun bhi ek imtihan sahi jazb-e-darun-e-ishq ka
kuchh dinon dekh lijiye dil se hamein bhula ke bhi

kam hui kya fasurdagi 'kaif'-e-alam-nasib ki
aap ne dekh to liya barha muskura ke bhi


Leave a comment

+