Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lais Quraishi

  • Ghazal


KHub andaz-e-pazirai hai


ḳhuub andāz-e-pazīrā.ī hai
izzat-e-nafs pe ban aa.ī hai

ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ ġham-e-jāñ
merī in sab se shanāsā.ī hai

haath phailāyā hai apne aage
ye gadā.ī hai ki dārā.ī hai

dil ke ā.īne meñ ye tū hai ki maiñ
ek sūrat sī nazar aa.ī hai

tajraba ye hai ki har zulf-e-ḳhirad
dast-e-vahshat hī ne suljhā.ī hai

dil ko iflās kā ehsās nahīñ
kaisī daulat mire haath aa.ī hai

husn-e-mahsūs jise kahte haiñ
mere ehsās kī ra.anā.ī hai

ai bahār-e-lab-o-āriz ye batā
tū kisī ko kabhī raas aa.ī hai

vaqt hai dar-pa-e-āzār magar
'lais' ko zo.am-e-shakebā.ī hai

KHub andaz-e-pazirai hai
izzat-e-nafs pe ban aai hai

gham-e-dauran gham-e-jaanan gham-e-jaan
meri in sab se shanasai hai

hath phailaya hai apne aage
ye gadai hai ki darai hai

dil ke aaine mein ye tu hai ki main
ek surat si nazar aai hai

tajraba ye hai ki har zulf-e-KHirad
dast-e-wahshat hi ne suljhai hai

dil ko iflas ka ehsas nahin
kaisi daulat mere hath aai hai

husn-e-mahsus jise kahte hain
mere ehsas ki ranai hai

ai bahaar-e-lab-o-ariz ye bata
tu kisi ko kabhi ras aai hai

waqt hai dar-pa-e-azar magar
'lais' ko zoam-e-shakebai hai


Leave a comment

+