qismat ajiib khel dikhātī chalī ga.ī
jo hañs rahe the un ko rulātī chalī ga.ī
dil goyā hādsāt-e-musalsal kā shahar ho
dhaḌkan bhī chīḳh ban ke Darātī chalī ga.ī
kāġhaz kī tarah ho ga.ī bosīda zindagī
tahrīr hasratoñ kī miTātī chalī ga.ī
maiñ chāhtī nahīñ thī magar phir bhī jaane kyuuñ
aa.ī jo terī yaad to aatī chalī ga.ī
āñkhoñ kī putliyoñ se tirā aks bhī gayā
ya.anī charāġh meñ thī jo baatī chalī ga.ī
DhūñDā unheñ jo raat kī tanhā.ī meñ 'hayā'
ik kahkashāñ sī zehan pe chhātī chalī ga.ī
qismat ajib khel dikhati chali gai
jo hans rahe the un ko rulati chali gai
dil goya hadsat-e-musalsal ka shahar ho
dhaDkan bhi chiKH ban ke Daraati chali gai
kaghaz ki tarah ho gai bosida zindagi
tahrir hasraton ki miTati chali gai
main chahti nahin thi magar phir bhi jaane kyun
aai jo teri yaad to aati chali gai
aankhon ki putliyon se tera aks bhi gaya
yani charagh mein thi jo baati chali gai
DhunDa unhen jo raat ki tanhai mein 'haya'
ek kahkashan si zehan pe chhati chali gai
Leave a comment