Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dua Ali

  • Ghazal


akeli kyun rahe birhan ye barish ne kaha mujhse


akelī kyuuñ rahe birhan ye bārish ne kahā mujh se
bulā le paas tū sājan ye bārish ne kahā mujh se

tumhārī saañs mahkegī ki taaza yaad bhī hogī
bhigone de mujhe āñgan ye bārish ne kahā mujh se

kabhī tum saath bhīge the magar mafhūm āñkheñ ab
bhigotī haiñ tirā dāman ye bārish ne kahā mujh se

samundar ke kināroñ par chalā thā ham-qadam lekin
banā vo shaḳhs kyuuñ dushman ye bārish ne kahā mujh se

havāoñ ne tirā āñchal uḌā Daalā tire sar se
baḌī mastī meñ hai sāvan ye bārish ne kahā mujh se

tire hoñToñ meñ sajtī thī tire sājan ke hāthoñ se
kabhī imlī kabhī jāman ye bārish ne kahā mujh se

kahīñ pardes meñ hogā 'duā' sājan ko bulvā le
na yuuñ be-kār kar jīvan ye bārish ne kahā mujh se

akeli kyun rahe birhan ye barish ne kaha mujh se
bula le pas tu sajan ye barish ne kaha mujh se

tumhaari sans mahkegi ki taza yaad bhi hogi
bhigone de mujhe aangan ye barish ne kaha mujh se

kabhi tum sath bhige the magar mafhum aankhen ab
bhigoti hain tera daman ye barish ne kaha mujh se

samundar ke kinaron par chala tha ham-qadam lekin
bana wo shaKHs kyun dushman ye barish ne kaha mujh se

hawaon ne tera aanchal uDa Dala tere sar se
baDi masti mein hai sawan ye barish ne kaha mujh se

tere honTon mein sajti thi tere sajan ke hathon se
kabhi imli kabhi jaman ye barish ne kaha mujh se

kahin pardes mein hoga 'dua' sajan ko bulwa le
na yun be-kar kar jiwan ye barish ne kaha mujh se


Leave a comment

+