Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Khalilabadi

  • Ghazal


din utarte hi nai sham pahan leta hun


din utarte hī na.ī shaam pahan letā huuñ
maiñ tirī yādoñ kā ehrām pahan letā huuñ

mere ghar vaale bhī taklīf meñ aa jaate haiñ
maiñ jo kuchh der ko ārām pahan letā huuñ

raat ko oḌh ke so jaatā huuñ din-bhar kī thakan
sub.h ko phir se ka.ī kaam pahan letā huuñ

jab bhī pardes meñ yaad aatā hai ghar kā naqsha
maiñ tasavvur meñ dar-o-bām pahan letā huuñ

ek chāñdī kī añgūThī ke havāle se faqat
apnī uñglī meñ tirā naam pahan letā huuñ

'faiz' yuuñ rakhtā huuñ maiñ us kī mohabbat kā bharam
us ke hisse ke bhī ilzām pahan letā huuñ

din utarte hi nai sham pahan leta hun
main teri yaadon ka ehram pahan leta hun

mere ghar wale bhi taklif mein aa jate hain
main jo kuchh der ko aaram pahan leta hun

raat ko oDh ke so jata hun din-bhar ki thakan
subh ko phir se kai kaam pahan leta hun

jab bhi pardes mein yaad aata hai ghar ka naqsha
main tasawwur mein dar-o-baam pahan leta hun

ek chandi ki anguThi ke hawale se faqat
apni ungli mein tera nam pahan leta hun

'faiz' yun rakhta hun main us ki mohabbat ka bharam
us ke hisse ke bhi ilzam pahan leta hun


Leave a comment

+