Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Ansari

  • Ghazal


kho jaun musht-e-KHak mein aisa nahin hun main


kho jā.ūñ musht-e-ḳhāk meñ aisā nahīñ huuñ maiñ
dariyā huuñ apnī zaat meñ qatra nahīñ huuñ maiñ

guzrūñgā jis jagah se nishāñ chhoḌ jā.ūñgā
āñdhī huuñ apne vaqt kī jhoñkā nahīñ huuñ maiñ

manzil se ye kaho ki kare merā intizār
Thahrā huā zarūr huuñ bhaTkā nahīñ huuñ maiñ

pūchhī hai ḳhat meñ aap ne jo ḳhairiyat mirī
kaise likhūñ janāb ki achchhā nahīñ huuñ maiñ

ḳhushbū tire badan kī mire saath saath hai
kah de koī havāoñ se tanhā nahīñ huuñ maiñ

husn-o-shabāb sāġhar-o-mīnā the sāmne
lekin kisī bhī shab kahīñ Thahrā nahīñ huuñ maiñ

de kar khilaune mujh ko jo bahlā rahe haiñ log
'ejāz' un se kah do ki bachcha nahīñ huuñ maiñ

kho jaun musht-e-KHak mein aisa nahin hun main
dariya hun apni zat mein qatra nahin hun main

guzrunga jis jagah se nishan chhoD jaunga
aandhi hun apne waqt ki jhonka nahin hun main

manzil se ye kaho ki kare mera intizar
Thahra hua zarur hun bhaTka nahin hun main

puchhi hai KHat mein aap ne jo KHairiyat meri
kaise likhun janab ki achchha nahin hun main

KHushbu tere badan ki mere sath sath hai
kah de koi hawaon se tanha nahin hun main

husn-o-shabab saghar-o-mina the samne
lekin kisi bhi shab kahin Thahra nahin hun main

de kar khilaune mujh ko jo bahla rahe hain log
'ejaz' un se kah do ki bachcha nahin hun main


Source:

Leave a comment

+