Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Prem Bhandari

  • Ghazal


dil mein gham aankh mein hansi dekhi


dil meñ ġham aañkh meñ hañsī dekhī
yuuñ bhī ashkoñ kī ḳhud-kushī dekhī

dene vaale ne ham ko ḳhuub diyā
ham ne har chiiz meñ kamī dekhī

koī bhī ghar nahīñ thā shīshe kā
pattharoñ se bharī galī dekhī

vo huā chup to merī nazroñ ne
ek ḳhush-rañg sī kalī dekhī

un ke dil par nahīñ jabīnoñ par
ik riyā-kār bandagī dekhī

dil mein gham aankh mein hansi dekhi
yun bhi ashkon ki KHud-kushi dekhi

dene wale ne hum ko KHub diya
hum ne har chiz mein kami dekhi

koi bhi ghar nahin tha shishe ka
pattharon se bhari gali dekhi

wo hua chup to meri nazron ne
ek KHush-rang si kali dekhi

un ke dil par nahin jabinon par
ek riya-kar bandagi dekhi


Source: Book : Khushboo Rang Sada ke Sang (Pg. 12) Author : Dr. Preem Bhandari Publication : Westzone Culture Center Udaipur (2003) Edition : 2003

Leave a comment

+