Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aashufta Changezi

  • Ghazal


baadban kholegi aur band-e-qaba le jaegi


bādbāñ kholegī aur band-e-qabā le jā.egī
raat phir aa.egī phir sab kuchh bahā le jā.egī

ḳhvāb jitne dekhne haiñ aaj saare dekh leñ
kyā bharosa kal kahāñ pāgal havā le jā.egī

ye añdhere haiñ ġhanīmat koī rasta DhūñD lo
sub.h kī pahlī kiran āñkheñ uThā le jā.egī

hosh-mandoñ se bhare haiñ shahr aur jañgal sabhī
saath kis kis ko bhalā kaalī ghaTā le jā.egī

jāgte manzar chhateñ dālān āñgan khiḌkiyāñ
ab ke phere meñ havā ye bhī uḌā le jā.egī

ek ik kar ke sabhī sāthī purāne kho ga.e
jo bachā hai vo nigāh-e-surmā-sā le jā.egī

jaate jaate dekh lenā gardish-e-lail-o-nahār
zindagī se bāñkpan lutf-e-ḳhatā le jā.egī

baadban kholegi aur band-e-qaba le jaegi
raat phir aaegi phir sab kuchh baha le jaegi

KHwab jitne dekhne hain aaj sare dekh len
kya bharosa kal kahan pagal hawa le jaegi

ye andhere hain ghanimat koi rasta DhunD lo
subh ki pahli kiran aankhen uTha le jaegi

hosh-mandon se bhare hain shahr aur jangal sabhi
sath kis kis ko bhala kali ghaTa le jaegi

jagte manzar chhaten dalan aangan khiDkiyan
ab ke phere mein hawa ye bhi uDa le jaegi

ek ek kar ke sabhi sathi purane kho gae
jo bacha hai wo nigah-e-surma-sa le jaegi

jate jate dekh lena gardish-e-lail-o-nahaar
zindagi se bankpan lutf-e-KHata le jaegi


Leave a comment

+