Warning: session_start(): open(/tmp/sess_p621etr7lp5r2ajmibg9qj5re1, O_RDWR) failed: No space left on device (28) in /razi/eraazi/darbari/chunmun/index.php on line 15
lagao na jab dil to phir kyun lagawaT

Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

  • Ghazal


lagao na jab dil to phir kyun lagawaT


lagāo na jab dil to phir kyuuñ lagāvaT
nahīñ mujh ko bhātī tumhārī banāvaT

paḌā thā use kaam merī jabīñ se
vo hañgāma bhūlī nahīñ terī chaukhaT

ye tamkīñ hai aur lab hoñ jān-e-tabassum
na khul jaa.e ai shoḳh terī banāvaT

maiñ dhoke hī khāyā kiyā zindagī meñ
qayāmat thī us āshnā kī lagāvaT

Thikānā tirā phir kahīñ bhī na hogā
na chhūTe kabhī 'vahshat' us but kī chaukhaT

lagao na jab dil to phir kyun lagawaT
nahin mujh ko bhati tumhaari banawaT

paDa tha use kaam meri jabin se
wo hangama bhuli nahin teri chaukhaT

ye tamkin hai aur lab hon jaan-e-tabassum
na khul jae ai shoKH teri banawaT

main dhoke hi khaya kiya zindagi mein
qayamat thi us aashna ki lagawaT

Thikana tera phir kahin bhi na hoga
na chhuTe kabhi 'wahshat' us but ki chaukhaT


Leave a comment

+