Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iman Qaisrani

  • Ghazal


ye zaKHm hain ki phul hain ye zahr hain ki jam hain


ye zaḳhm haiñ ki phuul haiñ ye zahr haiñ ki jaam haiñ
magar ye mere sher ab faqat tumhāre naam haiñ

na tum se ho ki mil sako na mujh se ho ki vaqt duuñ
tumheñ bhī kitne kaam haiñ mujhe bhī kitne kaam haiñ

vo maslahat-shanās thā so us kā dosh kuchh nahīñ
ye shahr bhar kī tohmateñ mirī vafā ke naam haiñ

maiñ us ko yaad jab karūñ ġhazal ke diip jal uTheñ
nisār is ḳhayāl par ki lafz bhī ġhulām haiñ

vo bārisheñ agarche ab kisī kī ho chukīñ magar
ye mere dil ke rāste hanūz tishna-kām haiñ

ai kam-nazar na sarsarī nazar se dekh tū ki ham
sahar kā ujlā nuur haiñ shafaq meñ lipTī shaam haiñ

ab un se kyā baġhāvateñ ab un se kyā adāvateñ
ki vo faqīh-e-shahr haiñ vo vaqt ke imaam haiñ

ye zaKHm hain ki phul hain ye zahr hain ki jam hain
magar ye mere sher ab faqat tumhaare nam hain

na tum se ho ki mil sako na mujh se ho ki waqt dun
tumhein bhi kitne kaam hain mujhe bhi kitne kaam hain

wo maslahat-shanas tha so us ka dosh kuchh nahin
ye shahr bhar ki tohmaten meri wafa ke nam hain

main us ko yaad jab karun ghazal ke dip jal uThen
nisar is KHayal par ki lafz bhi ghulam hain

wo barishen agarche ab kisi ki ho chukin magar
ye mere dil ke raste hanuz tishna-kaam hain

ai kam-nazar na sarsari nazar se dekh tu ki hum
sahar ka ujla nur hain shafaq mein lipTi sham hain

ab un se kya baghawaten ab un se kya adawaten
ki wo faqih-e-shahr hain wo waqt ke imam hain


Leave a comment

+