dil tak laraz uThā hai tire iltifāt par
ab iltifāt hai bhī to tohmat hayāt par
likhiye to likhte rahiye kitābeñ tamām umr
vo tabsire hue haiñ mirī baat baat par
tārīk ho na jaa.e kahīñ mahfil-e-hayāt
ab āñdhiyoñ kā zor hai sham-e-hayāt par
dekhe hue se ḳhvāb haiñ chauñkeñ bhī kis liye
kuchh muskurā to lete haiñ ham hādsāt par
har har qadam charāġh kahāñ tak jalāo.ge
tārīkiyāñ to din kī bhī vārid haiñ raat par
dhārā to vāqi.āt kā 'mahshar' muḌegā kyā
behtar ye hai ki naqd karo vāqi.āt par
dil tak laraz uTha hai tere iltifat par
ab iltifat hai bhi to tohmat hayat par
likhiye to likhte rahiye kitaben tamam umr
wo tabsire hue hain meri baat baat par
tarik ho na jae kahin mahfil-e-hayat
ab aandhiyon ka zor hai sham-e-hayat par
dekhe hue se KHwab hain chaunken bhi kis liye
kuchh muskura to lete hain hum hadsat par
har har qadam charagh kahan tak jalaoge
tarikiyan to din ki bhi warid hain raat par
dhaara to waqiat ka 'mahshar' muDega kya
behtar ye hai ki naqd karo waqiat par
Source: Book : Sahbaa-o-Saman (Pg. 100) Edition : 1st 1979 IInd 2008
Leave a comment