kār-e-duniyā ke taqāzoñ ko nibhāne meñ kaTī
zindagī ret kī dīvār uThāne meñ kaTī
ab bhī raushan hai tire dil meñ mohabbat kā diyā
raat phir sham-e-yaqīñ-sāz jalāne meñ kaTī
tishnagī vo thī koī kār-e-vafā ho na sakā
umar-e-be-māya faqat pyaas bujhāne meñ kaTī
sā.at-e-vasl jo dekhe the ḳhad-o-ḳhāl tire
hijr kī shab vahī tasvīr banāne meñ kaTī
ek añgusht-e-shahādat ki abhī baaqī thī
vo bhī is baar tirī samt uThāne meñ kaTī
kar-e-duniya ke taqazon ko nibhane mein kaTi
zindagi ret ki diwar uThane mein kaTi
ab bhi raushan hai tere dil mein mohabbat ka diya
raat phir sham-e-yaqin-saz jalane mein kaTi
tishnagi wo thi koi kar-e-wafa ho na saka
umar-e-be-maya faqat pyas bujhane mein kaTi
saat-e-wasl jo dekhe the KHad-o-KHal tere
hijr ki shab wahi taswir banane mein kaTi
ek angusht-e-shahadat ki abhi baqi thi
wo bhi is bar teri samt uThane mein kaTi
Videos
This video is playing from YouTube
Videos
This video is playing from YouTube
Obaid Siddiqi
RECITATIONS
Obaid Siddiqi
00:00/00:00
kar-e-duniya ke taqazon ko nibhane mein kaTi
Obaid Siddiqi
Source: Book : Rang hava main phel raha hai (Pg. 189)
Leave a comment