Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Ali Khan Bekhud

  • Ghazal


be-wajh nahin un ka be-KHud ko bulana hai


be-vaj.h nahīñ un kā be-ḳhud ko bulānā hai
ā.īna-e-hairat se mahfil ko sajānā hai

yaar ġham-e-hastī kā hai tazkira lā-hāsil
majbūr kā jiinā hī ik baar uThānā hai

mujh se jo sar-e-mahfil tum aañkh churāte ho
kyā rāz-e-mohabbat ko afsāna banānā hai

hālat ke taġhayyur par ho mātam-e-māzī kyuuñ
ik vo bhī zamāna thā ik ye bhī zamānā hai

hai gosha-e-tanhā.ī manzūr mujhe 'beḳhud'
is bazm meñ jaanā to jī aur jalānā hai

be-wajh nahin un ka be-KHud ko bulana hai
aaina-e-hairat se mahfil ko sajaana hai

yar gham-e-hasti ka hai tazkira la-hasil
majbur ka jina hi ek bar uThana hai

mujh se jo sar-e-mahfil tum aankh churaate ho
kya raaz-e-mohabbat ko afsana banana hai

haalat ke taghayyur par ho matam-e-mazi kyun
ek wo bhi zamana tha ek ye bhi zamana hai

hai gosha-e-tanhai manzur mujhe 'beKHud'
is bazm mein jaana to ji aur jalana hai


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+